Bhed Paen To Rah-e-yar Mein Gum Ho Jaen
bhed paen to rah-e-yar mein gum ho jaen
warna kis waste bekar mein gum ho jaen
kya karen arz-e-tamanna ki tujhe dekhte hi
lafz pairaya-e-izhaar mein gum ho jaen
ye na ho tum bhi kisi bhiD mein kho jao kahin
ye na ho hum kisi bazar mein gum ho jaen
kis tarah tujh se kahen kitna bhala lagta hai
tujh ko dekhen tere didar mein gum ho jaen
hum tere shauq mein yun KHud ko ganwa baiThe hain
jaise bachche kisi tyauhaar mein gum ho jaen
pech itne bhi na do kirmak-e-resham ki tarah
dekhna sar hi na dastar mein gum ho jaen
aisa aashob-e-zamana hai ki Dar lagta hai
dil ke mazmun hi na ashaar mein gum ho jaen
shahryaron ke bulawe bahut aate hain 'faraaz'
ye na ho aap bhi darbar mein gum ho jaen
(1902) Peoples Rate This