Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c93adcd3280997fedfd66350f3244502, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aise Chup Hain Ki Ye Manzil Bhi KaDi Ho Jaise - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Aise Chup Hain Ki Ye Manzil Bhi KaDi Ho Jaise

aise chup hain ki ye manzil bhi kaDi ho jaise

tera milna bhi judai ki ghaDi ho jaise

apne hi sae se har gam laraz jata hun

raste mein koi diwar khaDi ho jaise

kitne nadan hain tere bhulne wale ki tujhe

yaad karne ke liye umr paDi ho jaise

tere mathe ki shikan pahle bhi dekhi thi magar

ye girah ab ke mere dil mein paDi ho jaise

manzilen dur bhi hain manzilen nazdik bhi hain

apne hi panw mein zanjir paDi ho jaise

aaj dil khol ke roe hain to yun KHush hain 'faraaz'

chand lamhon ki ye rahat bhi baDi ho jaise

(3343) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aise Chup Hain Ki Ye Manzil Bhi KaDi Ho Jaise In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Aise Chup Hain Ki Ye Manzil Bhi KaDi Ho Jaise is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Aise Chup Hain Ki Ye Manzil Bhi KaDi Ho Jaise for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Aise Chup Hain Ki Ye Manzil Bhi KaDi Ho Jaise in PDF.