Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cc232c6d019338e1b566796595053663, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aisa Hai Ki Sab KHwab Musalsal Nahin Hote - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Aisa Hai Ki Sab KHwab Musalsal Nahin Hote

aisa hai ki sab KHwab musalsal nahin hote

jo aaj to hote hain magar kal nahin hote

andar ki fazaon ke karishme bhi ajab hain

meinh TuT ke barse bhi to baadal nahin hote

kuchh mushkilen aisi hain ki aasan nahin hotin

kuchh aise muamme hain kabhi hal nahin hote

shaistagi-e-gham ke sabab aankhon ke sahra

namnak to ho jate hain jal-thal nahin hote

kaise hi talatum hon magar qulzum-e-jaan mein

kuchh yaad-jazire hain ki ojhal nahin hote

ushshaq ke manind kai ahl-e-hawas bhi

pagal to nazar aate hain pagal nahin hote

sab KHwahishen puri hon 'faraaz' aisa nahin hai

jaise kai ashaar mukammal nahin hote

(3352) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Hai Ki Sab KHwab Musalsal Nahin Hote In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Aisa Hai Ki Sab KHwab Musalsal Nahin Hote is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Aisa Hai Ki Sab KHwab Musalsal Nahin Hote for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Aisa Hai Ki Sab KHwab Musalsal Nahin Hote in PDF.