Agarche Zor Hawaon Ne Dal Rakkha Hai
agarche zor hawaon ne Dal rakkha hai
magar charagh ne lau ko sambhaal rakkha hai
mohabbaton mein to milna hai ya ujaD jaana
mizaj-e-ishq mein kab e'tidal rakkha hai
hawa mein nashsha hi nashsha faza mein rang hi rang
ye kis ne pairahan apna uchhaal rakkha hai
bhale dinon ka bharosa hi kya rahen na rahen
so main ne rishta-e-gham ko bahaal rakkha hai
hum aise sada-dilon ko wo dost ho ki KHuda
sabhi ne wada-e-farda pe Tal rakkha hai
hisab-e-lutf-e-harifan kiya hai jab to khula
ki doston ne ziyaada KHayal rakkha hai
bhari bahaar mein ek shaKH par khila hai gulab
ki jaise tu ne hatheli pe gal rakkha hai
'faraaz' ishq ki duniya to KHub-surat thi
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visal rakkha hai
(3532) Peoples Rate This