Abhi Kuchh Aur Karishme Ghazal Ke Dekhte Hain
abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain
'faraaz' ab zara lahja badal ke dekhte hain
judaiyan to muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar
kuchh aur dur zara sath chal ke dekhte hain
rah-e-wafa mein harif-e-KHiram koi to ho
so apne aap se aage nikal ke dekhte hain
tu samne hai to phir kyun yaqin nahin aata
ye bar bar jo aankhon ko mal ke dekhte hain
ye kaun log hain maujud teri mahfil mein
jo lalachon se tujhe mujh ko jal ke dekhte hain
ye qurb kya hai ki yak-jaan hue na dur rahe
hazar ek hi qalib mein Dhal ke dekhte hain
na tujh ko mat hui hai na mujh ko mat hui
so ab ke donon hi chaalen badal ke dekhte hain
ye kaun hai sar-e-sahil ki Dubne wale
samundaron ki tahon se uchhal ke dekhte hain
abhi talak to na kundan hue na rakh hue
hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain
bahut dinon se nahin hai kuchh us ki KHair KHabar
chalo 'faraaz' ku-e-yar chal ke dekhte hain
(3282) Peoples Rate This