Ab Ke Tajdid-e-wafa Ka Nahin Imkan Jaanan
ab ke tajdid-e-wafa ka nahin imkan jaanan
yaad kya tujh ko dilaen tera paiman jaanan
yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
kis qadar jald badal jate hain insan jaanan
zindagi teri ata thi so tere nam ki hai
hum ne jaise bhi basar ki tera ehsan jaanan
dil ye kahta hai ki shayad hai fasurda tu bhi
dil ki kya baat karen dil to hai nadan jaanan
awwal awwal ki mohabbat ke nashe yaad to kar
be-piye bhi tera chehra tha gulistan jaanan
aaKHir aaKHir to ye aalam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag uTThi ki rag-e-jaan jaanan
muddaton se yahi aalam na tawaqqo na umid
dil pukare hi chala jata hai jaanan jaanan
hum bhi kya sada the hum ne bhi samajh rakkha tha
gham-e-dauran se juda hai gham-e-jaanan jaanan
ab ke kuchh aisi saji mahfil-e-yaran jaanan
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gareban jaanan
har koi apni hi aawaz se kanp uThta hai
har koi apne hi sae se hirasan jaanan
jis ko dekho wahi zanjir-ba-pa lagta hai
shahr ka shahr hua daKHil-e-zindan jaanan
ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aae
aur se aur hue dard ke unwan jaanan
hum ki ruThi hui rut ko bhi mana lete the
hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jaanan
hosh aaya to sabhi KHwab the reza reza
jaise uDte hue auraq-e-pareshan jaanan
(6981) Peoples Rate This