Ab Ke Hum BichhDe To Shayad Kabhi KHwabon Mein Milen
ab ke hum bichhDe to shayad kabhi KHwabon mein milen
jis tarah sukhe hue phul kitabon mein milen
DhunDh ujDe hue logon mein wafa ke moti
ye KHazane tujhe mumkin hai KHarabon mein milen
gham-e-duniya bhi gham-e-yar mein shamil kar lo
nashsha baDhta hai sharaben jo sharabon mein milen
tu KHuda hai na mera ishq farishton jaisa
donon insan hain to kyun itne hijabon mein milen
aaj hum dar pe khinche gae jin baaton par
kya ajab kal wo zamane ko nisabon mein milen
ab na wo main na wo tu hai na wo mazi hai 'faraaz'
jaise do sae tamanna ke sarabon mein milen
(3701) Peoples Rate This