Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d520fecf9b83a010bf0ed0bfc348f06b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aankh Se Dur Na Ho Dil Se Utar Jaega - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Aankh Se Dur Na Ho Dil Se Utar Jaega

aankh se dur na ho dil se utar jaega

waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaega

itna manus na ho KHalwat-e-gham se apni

tu kabhi KHud ko bhi dekhega to Dar jaega

Dubte Dubte kashti ko uchhaala de dun

main nahin koi to sahil pe utar jaega

zindagi teri ata hai to ye jaane wala

teri baKHshish teri dahliz pe dhar jaega

zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka 'faraaz'

zalim ab ke bhi na roega to mar jaega

(2706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Se Dur Na Ho Dil Se Utar Jaega In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Aankh Se Dur Na Ho Dil Se Utar Jaega is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Aankh Se Dur Na Ho Dil Se Utar Jaega for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Aankh Se Dur Na Ho Dil Se Utar Jaega in PDF.