Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_633bekkhov123v2b15dqb80813, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Umr Se Jis Ko Liye Phirta Hun Nazar Mein - Ahmad Fakhir Poetry In English - Darsaal

Ek Umr Se Jis Ko Liye Phirta Hun Nazar Mein

ek umr se jis ko liye phirta hun nazar mein

wo rup hai suraj mein na wo rang sahar mein

chalti hain hawaen to baras jati hain aankhen

chhae hain teri yaad ke baadal mere ghar mein

hairan hue jate hain mujhe dekhne wale

aaina muallaq hai mere dida-e-tar mein

ek chand ko chhune ki tamanna mein hun pagal

baadal sa uDa jata hun KHwabon ke safar mein

moti meri aankhon ne luTa Dale hain 'faKHir'

KHush-rang koi phul khila jab bhi jigar mein

(4528) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Umr Se Jis Ko Liye Phirta Hun Nazar Mein In English By Famous Poet Ahmad Fakhir. Ek Umr Se Jis Ko Liye Phirta Hun Nazar Mein is written by Ahmad Fakhir. Read famous Poem Ek Umr Se Jis Ko Liye Phirta Hun Nazar Mein for youth and Student by Ahmad Fakhir. Free Download Ek Umr Se Jis Ko Liye Phirta Hun Nazar Mein in PDF.