Dastak Hawa Ki Sun Ke Kabhi Dar Nahin Gaya

dastak hawa ki sun ke kabhi Dar nahin gaya

lekin main chand-raat mein bahar nahin gaya

aankhon mein uD raha hai abhi tak ghubar-e-hijr

ab tak wida-e-yar ka manzar nahin gaya

ai sham-e-hijr-e-yar meri tu gawahi de

main tere sath sath raha ghar nahin gaya

tu ne bhi sare zaKHm kisi taur sah liye

main bhi bichhaD ke ji hi liya mar nahin gaya

sada fasil-e-shahr mujhe dekhti rahi

lekin main tera nam bhi likh kar nahin gaya

baKHsha shab-e-firaq ko dil ne abad ka tul

shab bhar lahuluhan raha mar nahin gaya

(935) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dastak Hawa Ki Sun Ke Kabhi Dar Nahin Gaya In English By Famous Poet Ahmad Azeem. Dastak Hawa Ki Sun Ke Kabhi Dar Nahin Gaya is written by Ahmad Azeem. Read famous Poem Dastak Hawa Ki Sun Ke Kabhi Dar Nahin Gaya for youth and Student by Ahmad Azeem. Free Download Dastak Hawa Ki Sun Ke Kabhi Dar Nahin Gaya in PDF.