Aisi Bhi Kahan Be-sar-o-samani Hui Hai
aisi bhi kahan be-sar-o-samani hui hai
jo sab ko mujhe dekh ke hairani hui hai
dil mein to teri yaad thi ek bund lahu ki
aankhon mein jo aai to yahi pani hui hai
qulzum ka hai ezaz ki tahdari ki har mauj
is zulf-e-girah-gir ki diwani hui hai
kya DhunDne nikli hai kisi qais ko pagal
is darja jo ye baad-e-bayabani hui hai
aaseb-zada hain dar-o-diwar-e-shab-o-roz
kis darja mah o sal ki virani hui hai
boe hain bahut chashm-e-tamanna mein yahan KHwab
tab ja ke zamin dil ki ye barani hui hai
(709) Peoples Rate This