Aisa Ilaj-e-habs-e-dil-e-zar Chahiye
aisa ilaj-e-habs-e-dil-e-zar chahiye
ek dar fasil-e-jaan mein hawa-dar chahiye
ek jhil naghma-rez ho ahl-e-safar ke sath
sarsabz dur tak saf-e-ashjar chahiye
sahra kaf-e-tamawwuj-e-dariya mein ho asir
shoala hawa se bar-sar-e-paikar chahiye
ye ruh ek tair-e-wahshi nazhad hai
har dam safar ke waste tayyar chahiye
apne farogh-e-husn ki tashhir ke liye
shahzadi-e-KHayal ko darbar chahiye
is shahr-e-KHisht-o-sang ko shishe ki chah hai
koi jawan aaina-bardar chahiye
bazar-e-arzu mein kaTi ja rahi hai umr
hum ko KHarid le wo KHaridar chahiye
(835) Peoples Rate This