Wahi Darinda
wahi darinda
mujhe jangal se shahr le aaya
yahan us ne
muskurana sikha
jo karta raha
main dekhta raha
aur apne andar hairaten jama karta raha
us ne ek aurat ki chhatiyan
bhanbhoD Dalin
jis ne us ke uzw-e-tanasul
aur dil ko thaka diya hai
us ne aasman ki taraf dekha
aur thuk nigal liya
wahan use
koi nazar nahin aaya
mujhe pata na chalta
wo lafzon mein chhup jata
wahin se nahusat se muskuraata
dikhai paDta
kabhi kabhi
main ne us se
jaan chhuDani chahi
jab main phul le raha tha
us laDki ke liye
jis ka dil
ek phul se bhi ziyaada
narm aur halka tha
main ne us se
jaan chhuDani chahi
jab dhup diwaron se
utarne ka nam nahin leti thi
aur lamhe unghte the
main in dhup bhari diwaron mein
use dafn karna chahta tha
main ne us se jaan chhuDani chahi
jab main ne pahli bar
sach bolna sikha
ye use pasand nahin aaya
us ne karodh mein
aaina ijad kiya
aur mere samne rakh diya
main ne dekha
wahi darinda
main KHud hun
(801) Peoples Rate This