Nazm
meri nazm ko dur se dekho
dur se mahsus karo
us se baat mat karo
us ko chhune ki hawas ko
shamil kar lo
apne ek KHwab mein
ziyaada miThas
aur kaDwahaT ka zaiqa
ek sa hota hai
tum is nazm ko
apni kamar par KHushk ghaDa tasawwur karo
tumhein dur, sahra se pani lene jaana hai
wahan tumhein do aankhen milengi
un mein ye nazm hogi
tum is nazm ki aankhon se
bahte hue aansuon ko, apne badan mein
shamil na karna
udas ho jaogi
aur ye nazm
tumhein udas hote hue
nahin dekh sakti
(723) Peoples Rate This