Jo Mere Marne Ka Tamasha Nahin Dekhna Chahti

main jis din paida hua

usi din se mar raha hun

wo table par pyale mein

talKH mahlul rakha tha

ab nahin hai

wo ek dariya bahta tha

use KHushk kar diya gaya hai

wo chhat se rassi Tangi thi

haTa di gai hai

main tamam umr apnon ke narghe mein raha hun

mujhe mera pyala

mera dariya

meri rassi

thoDi der ke liye

wapas kiye jaen

main us piyale ko toD kar

us ki miTTi se

ek dil banaunga

jis mein koi talKH yaad nahin hogi

main dariya mein apne KHwab Dal dunga

unhen meri zarurat nahin

main rassi se

us kashti ko bandhunga

jis mein ek aurat

phulon ki Tokari liye

baiThi hai

jo mere marne ka tamasha nahin dekhna chahti

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Mere Marne Ka Tamasha Nahin Dekhna Chahti In English By Famous Poet Ahmad Azad. Jo Mere Marne Ka Tamasha Nahin Dekhna Chahti is written by Ahmad Azad. Read famous Poem Jo Mere Marne Ka Tamasha Nahin Dekhna Chahti for youth and Student by Ahmad Azad. Free Download Jo Mere Marne Ka Tamasha Nahin Dekhna Chahti in PDF.