Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0d80bc2e17aeec0f9fc139991347ef12, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Aks Aap Hi Bante Hain Humse Milte Hain - Ahmad Ata Poetry In English - Darsaal

Ye Aks Aap Hi Bante Hain Humse Milte Hain

ye aks aap hi bante hain hum se milte hain

ki naKHunon ke baghair apne zaKHm chhilte hain

KHabar mili hai ki tu KHwab dekhti hai abhi

KHabar mili hai teri samt phul khilte hain

hamein ye waqt ki baKHiya-gari pasand nahin

agarche waqt ke hathon se zaKHm silte hain

hamari umr se baDh kar ye bojh Dala gaya

so hum baDon se buzurgon ki tarah milte hain

kisi ko KHwab mein akasr pukara jata hai

'ata' isi liye sote mein honT hilte hain

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aks Aap Hi Bante Hain Humse Milte Hain In English By Famous Poet Ahmad Ata. Ye Aks Aap Hi Bante Hain Humse Milte Hain is written by Ahmad Ata. Read famous Poem Ye Aks Aap Hi Bante Hain Humse Milte Hain for youth and Student by Ahmad Ata. Free Download Ye Aks Aap Hi Bante Hain Humse Milte Hain in PDF.