KHwab Ka Izn Tha Tabir-e-ijazat Thi Mujhe

KHwab ka izn tha tabir-e-ijazat thi mujhe

wo samay aisa tha marne mein suhulat thi mujhe

ek be-barg shajar dhund mein lipTa hua tha

shaKH par baiThi duaon ki zarurat thi mujhe

raat masjid mein andhera to bahut tha lekin

yaad bhuli si koi rah-e-ibaadat thi mujhe

ai meri jaan wahi 'ghaalib' ki si haalat thi meri

tere jaane ki ghaDi thi ki qayamat thi mujhe

dastan-go ne dikha di thi mujhe shahzadi

aur phir KHwab mein chalne ki bhi aadat thi mujhe

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Ka Izn Tha Tabir-e-ijazat Thi Mujhe In English By Famous Poet Ahmad Ata. KHwab Ka Izn Tha Tabir-e-ijazat Thi Mujhe is written by Ahmad Ata. Read famous Poem KHwab Ka Izn Tha Tabir-e-ijazat Thi Mujhe for youth and Student by Ahmad Ata. Free Download KHwab Ka Izn Tha Tabir-e-ijazat Thi Mujhe in PDF.