Ishq Se Bhag Ke Jaya Bhi Nahin Ja Sakta

ishq se bhag ke jaya bhi nahin ja sakta

naqsh-e-yak-KHwab miTaya bhi nahin ja sakta

hum use dekh ke nazren bhi haTa sakte nahin

aur use dekhne jaya bhi nahin ja sakta

wo kahin KHwab mein poshida koi KHwab sahi

der tak dard dabaya bhi nahin ja sakta

zer-e-lab hain jo sadaen koi sunta hi nahin

aur bahut shor machaya bhi nahin ja sakta

dil chhupaya kisi titli ke paron ke niche

ye chhupana to chhupaya bhi nahin ja sakta

raat ne git sunaya tha kisi subh ka git

git aisa kahin gaya bhi nahin ja sakta

ek naya rang uDaya hai in aaankhon se 'ata'

rang rangon mein milaya bhi nahin ja sakta

(1163) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Se Bhag Ke Jaya Bhi Nahin Ja Sakta In English By Famous Poet Ahmad Ata. Ishq Se Bhag Ke Jaya Bhi Nahin Ja Sakta is written by Ahmad Ata. Read famous Poem Ishq Se Bhag Ke Jaya Bhi Nahin Ja Sakta for youth and Student by Ahmad Ata. Free Download Ishq Se Bhag Ke Jaya Bhi Nahin Ja Sakta in PDF.