Hui Ghazal Hi Na Kuchh Baat Ban Saki Humse
hui ghazal hi na kuchh baat ban saki hum se
ye sarguzisht-e-junun kab bayan hui hum se
saDak pe baiTh gae dekhte hue duniya
aur aise tark hui ek KHud-kushi hum se
hum aa gae the ghane bargadon ke sae mein
sau baat karne chali aai raushni hum se
wo KHwab kya tha ki jo bhulne laga dam-e-subh
wo raat kaisi thi jo ruThne lagi hum se
bujha ke apne alaw paDa hamein chhupna
to yun kahani faramosh ho gai hum se
hum aaj phir baDi tab-o-tawan se julte hain
phir aaj sahm to jaegi tirgi hum se
hum aaj bhi usi darwaze ki bane the darz
wo be-niyaz usi tarah phir mili hum se
(895) Peoples Rate This