Hamein Na Dekhiye Hum Gham Ke Mare Jaise Hain
hamein na dekhiye hum gham ke mare jaise hain
ki hum to waise hain us ke ishaare jaise hain
ye wasl, wasl ki mad mein ghalat shumar kiya
ki us ke sath bhi yunhi kinare jaise hain
tilism-e-chashm salamat rahe ki jis ke sabab
kahin hain phul kahin hum sitare jaise hain
wo jaanta hai jabhi dur bhagta hai bahut
wo jaanta hai hum us ko KHasare jaise hain
hum aaj hanste hue kuchh alag dikhai diye
ba-waqt-e-girya hum aise the, sare jaise hain
use kaho ki sitare shumar to na kare
kaho qadam dhare, chhoDe utare jaise hain
ye gham ke phul hain ya sher dekhiye aur bas
hamein pata hai ki hum ne nikhaare jaise hain
(868) Peoples Rate This