Hamara Ishq Salamat Hai Yani Hum Abhi Hain

hamara ishq salamat hai yani hum abhi hain

wahi shadid aziyyat hai yani hum abhi hain

usi purani kahani mein sans lete hain

wahi purani mohabbat hai yani hum abhi hain

na jaane kab se dar-e-dastan pe baiThe hain

aur intizar ki himmat hai yani hum abhi hain

talab ke karb mein ek marg ke dua-go the

talab mein waisi hi shiddat hai yani hum abhi hain

kasi ke nam pe hum dosti nibhate the

aur ab bhi waisi hi shohrat hai yani hum abhi hain

talab baDhati chali ja rahi hai apni hawas

so qadre KHam qanaat hai yani hum abhi hain

kalam-e-'mir' ke sadqe mein sher hote hain

jo bait hai so qayamat hai yani hum abhi hain

ajab ye sher hain apne ki jin mein hum bhi nahin

bas ek gham ki shararat hai yani hum abhi hain

ye ishq peshgi dar-o-rasan ke hangame

ye rang zinda salamat hai yani hum abhi hain

amir-e-shahr hai bechain shaiKH KHauf-zada

abhi talak ye adawat hai yani hum abhi hain

na puri hai na adhuri ye dastan-e-alam

koi suni si hikayat hai yani hum abhi hain

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamara Ishq Salamat Hai Yani Hum Abhi Hain In English By Famous Poet Ahmad Ata. Hamara Ishq Salamat Hai Yani Hum Abhi Hain is written by Ahmad Ata. Read famous Poem Hamara Ishq Salamat Hai Yani Hum Abhi Hain for youth and Student by Ahmad Ata. Free Download Hamara Ishq Salamat Hai Yani Hum Abhi Hain in PDF.