Bebasi Aisi Bhi Hoti Hai Bhala

bebasi aisi bhi hoti hai bhala

zindagi aisi bhi hoti hai bhala

raushni ab mere ashkon se hai bas

tirgi aisi bhi hoti hai bhala

hanste hanste ho gaya barbaad main

KHush-dili aisi bhi hoti hai bhala

chiKHta rahta hun aksar be-sabab

bekasi aisi bhi hoti hai bhala

ji raha hun main use dekhe baghair

be-hisi aisi bhi hoti hai bhala

puchhte ho aib auron se mere

dosti aisi bhi hoti hai bhala

zindagi aisi hi hoti hai bhai

zindagi aisi bhi hoti hai bhala

rang hi chehre pe lahraate hain ab

jaan-kani aisi bhi hoti hai bhala

hain lahu ki bunden ab meri sipah

sar-kashi aisi bhi hoti hai bhala

ek hi surat yahan chaaron taraf

raushni aisi bhi hoti hai bhala

gal jhulse ja rahe hain kyun mere

chandni aisi bhi hoti hai bhala

(979) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Bebasi Aisi Bhi Hoti Hai Bhala In English By Famous Poet Ahmad Ata. Bebasi Aisi Bhi Hoti Hai Bhala is written by Ahmad Ata. Read famous Poem Bebasi Aisi Bhi Hoti Hai Bhala for youth and Student by Ahmad Ata. Free Download Bebasi Aisi Bhi Hoti Hai Bhala in PDF.