Sab Jal Gaya Jalte Hue KHwabon Ke Asar Se
sab jal gaya jalte hue KHwabon ke asar se
uThta hai dhuan dil se nigahon se jigar se
aaj us ke janaze mein hai ek shahr saf-ara
kal mar gaya jo aadmi tanhai ke Dar se
kab tak gae rishton se nibhata main talluq
is bojh ko ai dost utar aaya hun sar se
jo aaina-KHana meri hairat ka sabab hai
mumkin hai mere baad meri did ko tarse
is ahd-e-KHizan mein kisi ummid ke manind
patthar se nikal aaun magar abr to barse
ruThe hue suraj ko manane ki lagan mein
hum log sar-e-sham nikal paDte hain ghar se
us shaKHs ka ab phir se khaDa hona hai mushkil
is bar gira hai wo zamane ki nazar se
lagta hai ki is dil mein koi qaid hai 'ashfaq'
rone ki sada aati hai yaadon ke khanDar se
(1085) Peoples Rate This