Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_49e244b0de3db6dbaaff9ed456c500e4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Kisi KHwab Ki Tabir Nahin Chahta Main - Ahmad Ashfaq Poetry In English - Darsaal

Ab Kisi KHwab Ki Tabir Nahin Chahta Main

ab kisi KHwab ki tabir nahin chahta main

koi surat pas-e-taswir nahin chahta main

chahta hun ki rifaqat ka bharam rah jae

ahd-o-paiman ki tafsir nahin chahta mein

hukm sadir hai to nafiz bhi karo mere huzur

faisle mein koi taKHir nahin chahta main

chahta hun tujhe guftar se qail kar lun

baat mein lahja-e-shamshir nahin chahta main

muddaa hai ki mera haq mujhe wapas mil jae

tere ajdad ki jagir nahin chahta main

(1220) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Kisi KHwab Ki Tabir Nahin Chahta Main In English By Famous Poet Ahmad Ashfaq. Ab Kisi KHwab Ki Tabir Nahin Chahta Main is written by Ahmad Ashfaq. Read famous Poem Ab Kisi KHwab Ki Tabir Nahin Chahta Main for youth and Student by Ahmad Ashfaq. Free Download Ab Kisi KHwab Ki Tabir Nahin Chahta Main in PDF.