Tha Jo Mere Zauq Ka Saman Aadha Rah Gaya
tha jo mere zauq ka saman aadha rah gaya
bahr-e-dil mein ishq ka tufan aadha rah gaya
main idhar bechain hun aur wo udhar hai muztarib
dastan-e-ishq ka unwan aadha rah gaya
chand lamhe baad hi aa kar wo ruKHsat ho gaya
us se milne ka tha jo arman aadha rah gaya
us ki taswir-e-tasawwur hai nazar ke samne
KHana-e-dil mein jo tha mehman aadha rah gaya
tishna-e-takmil hai mere sawalon ka jawab
main samajhta tha jise aasan aadha rah gaya
ibn-e-adam ki kabhi puri nahin hoti hawas
wo samajhta hai abhi saman aadha rah gaya
ilm zahir aur baatin lazim-o-malzum hain
jo na samjhe us ko wo insan aadha rah gaya
apni apni sarhadon se hain sabhi na-mutmain
chin aadha rah gaya japan aadha rah gaya
sab ki Dafli hai alag aur sab ka apna rag hai
shaiKH aadha rah gaya aur KHan aadha rah gaya
naqidon ke darmiyan hai in dinon mauzu-e-bahs
'mir' aur 'ghaalib' ka jo diwan aadha rah gaya
sher likh sakta nahin jo kar raha hai is ki sharh
sher-fahmi ka tha jo rujhan aadha rah gaya
kah raha hai jis ki nazron mein barabar hain sabhi
is amir-e-shahr ka farman aadha rah gaya
hai kabhi nime darun wo aur kabhi nime barun
aadmi ka aaj-kal iman aadha rah gaya
ek jhalak dikhla ke apni jo kabhi lauTa nahin
us ke 'barqi' hijr mein be-jaan aadha rah gaya
(1875) Peoples Rate This