Ro PaDa Na-gahan Muskurane Ke Baad
ro paDa na-gahan muskurane ke baad
yaad aai bahut us ki jaane ke baad
meri aankhen khuli ki khuli rah gain
wo nazar aaya jab ek zamane ke baad
ruh parwar tha is ka ye tarz-e-amal
ruTh jaana dobara manane ke baad
dil ko dil se milati hai ye dil-lagi
us ka hona pasheman satane ke baad
talKH-o-shirin hai rudad-e-dil-bastagi
munkashif ye hua aazmane ke baad
shaKHsiyat ka meri ban gaya ek juz
mere qalb-o-jigar mein samane ke baad
hai ye 'barqi' hasinon ki fitrat ka juz
wada kar ke na aana bulane ke baad
(1429) Peoples Rate This