Ye Jahan-e-ab-o-gil Lagta Hai Ek Maya Mujhe
ye jahan-e-ab-o-gil lagta hai ek maya mujhe
har-qadam par justuju ne jis ki bahkaya mujhe
zindagi-bhar mere apnon ne diya mujh ko fareb
the jo begane unhon ne aa ke apnaya mujhe
wada-e-imroz-o-farda mein ulajh kar rah gaya
zindagi-bhar sabz-bagh ek aisa dikhlaya mujhe
ek muamma jaise ho sab ke liye mera wajud
har kisi ne apne apne zarf tak paya mujhe
jis ko dekho gardish-e-haalat ka hai wo shikar
har koi jaise nazar aata ho ghabraya mujhe
ahl-e-duniya ne diye hain is qadar mujh ko fareb
karta hai wahshat-zada ab apna hi saya mujhe
us ki zulf-e-KHam-ba-KHam se ab nikalna hai muhaal
ghamza-o-naz-o-ada se aisa uljhaya mujhe
ab jahan koi nahin mere liye rah-e-farar
mera jazb-e-shauq aaKHir kis jagah laya mujhe
jaun to jaun kahan koi nahin hai KHizr-e-rah
umr-bhar josh-e-junun ne mere taDpaya mujhe
ab uData hai meri sahra-nawardi ka mazaq
ishq karne ke liye tha jis ne uksaya mujhe
kar di sab apni mata-e-zindagi jis par nisar
ye jahan-e-rang-o-bu hargiz na ras aaya mujhe
main samajhta tha jise apna rafiq-e-zindagi
taKHta-e-mashq-e-sitam us ne hi banwaya mujhe
tha mera jo hashiya-bardar 'barqi'-azami
us ne hi tauq-e-ghulami aa ke pahnaya mujhe
(2367) Peoples Rate This