Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_74f6ce1e843ffe6560fe7f6628123b3a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Urdu Ki Shohra-e-afaq Website ReKHta Ki Ilmi-o-adbi KHidmat Par Manzum Tassuraat - Ahmad Ali Barqi Azmi Poetry In English - Darsaal

Urdu Ki Shohra-e-afaq Website ReKHta Ki Ilmi-o-adbi KHidmat Par Manzum Tassuraat

reKHta jis ka baDa nam hai kya arz karun

ye hamare liye inam hai kya arz karun

fal nek is ka hai urdu ke liye apna wajud

jis ka faizan-e-nazar aam hai kya arz karun

aap KHud dekh len kahne pe na jaen mere

wo bhi is mein hai jo gumnam hai kya arz karun

mera majmua-e-ashaar hai is ki zinat

baada-e-shauq ka ye jam hai kya arz karun

apni miras-e-adab karte hain kaise mahfuz

is ka sab ke liye paigham hai kya arz karun

kisi muslim ko na di is ki KHuda ne taufiq

aap bhi dekh len kya kaam hai kya arz karun

ye kutub-KHana-e-maruf adab ka 'barqi'

aisi ek jalwa-gah-e-am hai kya arz karun

(4134) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Urdu Ki Shohra-e-afaq Website ReKHta Ki Ilmi-o-adbi KHidmat Par Manzum Tassuraat In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. Urdu Ki Shohra-e-afaq Website ReKHta Ki Ilmi-o-adbi KHidmat Par Manzum Tassuraat is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem Urdu Ki Shohra-e-afaq Website ReKHta Ki Ilmi-o-adbi KHidmat Par Manzum Tassuraat for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download Urdu Ki Shohra-e-afaq Website ReKHta Ki Ilmi-o-adbi KHidmat Par Manzum Tassuraat in PDF.