Wo Hasb-e-wada Na Aaya To Aankh Bhar Aai

wo hasb-e-wada na aaya to aankh bhar aai

mujhe tamasha banaya to aankh bhar aai

saja ke rakhta tha palkon pe jis ko main aksar

nazar se us ne giraya to aankh bhar aai

hamesha karta tha meri jo naz-bardari

isi ka naz uThaya to aankh bhar aai

jise samajhta tha main dil-nawaz jab us se

sukun-e-qalb na paya to aankh bhar aai

wo mujh se bharta tha dum dosti ka lekin jab

adu se hath milaya to aankh bhar aai

na tha ye wahm-o-guman mujh ko wo bulaega

achanak us ne bulaya to aankh bhar aai

nahin hai shikwa koi dushmanon se ai 'barqi'

fareb dost se khaya to aankh bhar aai

(1114) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Hasb-e-wada Na Aaya To Aankh Bhar Aai In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. Wo Hasb-e-wada Na Aaya To Aankh Bhar Aai is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem Wo Hasb-e-wada Na Aaya To Aankh Bhar Aai for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download Wo Hasb-e-wada Na Aaya To Aankh Bhar Aai in PDF.