Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3e0d3040d2516dd88fafdb5392bf9f05, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Se Mein Ne Dekha Hai Ek KHushnuma Chehra - Ahmad Ali Barqi Azmi Poetry In English - Darsaal

Jab Se Mein Ne Dekha Hai Ek KHushnuma Chehra

jab se mein ne dekha hai ek KHushnuma chehra

tab se hai nigahon mein us ka chand sa chehra

surat aur sirat mein imtiyaz mushkil hai

hai har ek chehre par ek dusra chehra

ek aur do hi mein zehn tha paraganda

aa gaya kahan se ye ek tisra chehra

ba-wafa samajhta tha jis ko bewafa nikla

rose wo badalta hai ek na ek naya chehra

tha naqab mein ab tak be-hijab jab dekha

fash ho gaya aaKHir us ka bad-numa chehra

dur se samajhte the jis ko chand ka TukDa

jab qarib se dekha tha wo khurdura chehra

meri chashm-e-baatin se kuchh nahin hai poshida

hai zaban-e-dil 'barqi' aaina-numa chehra

(1507) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Mein Ne Dekha Hai Ek KHushnuma Chehra In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. Jab Se Mein Ne Dekha Hai Ek KHushnuma Chehra is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem Jab Se Mein Ne Dekha Hai Ek KHushnuma Chehra for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download Jab Se Mein Ne Dekha Hai Ek KHushnuma Chehra in PDF.