Is Ke Ghar Se Mere Ghar Tak Ek Kahani Bich Mein Hai
is ke ghar se mere ghar tak ek kahani bich mein hai
meri us ki rahguzar tak ek kahani bich mein hai
chappa chappa us ki gali ka raha hai mere zer-e-qadam
josh-e-junun se azm-e-safar tak ek kahani bich mein hai
zulf-o-lab-o-ruKHsar kisi ka hai mera mauzu-e-suKHan
tariki se nur-e-nazar tak ek kahani bich mein hai
KHun-e-jigar shamil hai mera is gulzar ki raunaq mein
sehn-e-chaman se barg o shajar tak ek kahani bich mein hai
kaun-o-makan ki har shai mein hain fitrat ke asrar-o-rumuz
bahr-o-bar se shams-o-qamar tak ek kahani bich mein hai
mal bhi aksar ho jata hai jaan ka logon ki janjal
batn-e-sadaf se lal-o-gohar tak ek kahani bich mein hai
zid na karo tum sun na sakoge 'barqi' ka ye soz-e-darun
tir-e-nazar se zaKHm-e-jigar tak ek kahani bich mein hai
(1608) Peoples Rate This