Ehsas Ka Wasil-e-izhaar Hai Ghazal
ehsas ka wasil-e-izhaar hai ghazal
aaina-dar-e-nudrat-e-afkar hai ghazal
urdu adab ko jis pe hamesha rahega naz
izhaar-e-fikr-o-fan ka wo mear hai ghazal
guldasta-e-adab ka gul-e-sar-sabd hai ye
hain jis mein gul-ezar wo gulzar hai ghazal
aati hai jis wasile se dil se zaban par
KHwabida hasraton ka wo izhaar hai ghazal
urdu zaban dil hai ghazal us ki jaan hai
nau-e-bashar ki munis-o-gham-KHwar hai ghazal
pahle hadis-e-dilbari kahte the is ko log
ab tarjuman-e-kucha-o-bazar hai ghazal
pesh-e-nazar agar ho 'wali'-dakkani ka tarz
mashshata-e-arus-e-trahdar hai ghazal
hai 'mir' o 'zauq' o 'ghaalib' o 'momin' ko jo aziz
wo dil-nawaz jalwa-gah-e-yar hai ghazal
'barqi' ke fikr-o-fan ka muraqqa isi mein hai
'barq'-azmi se matla-e-anwar hai ghazal
(1164) Peoples Rate This