Amn-o-sulh-o-ashti Ho Jaise Bimari Ka Nam
amn-o-sulh-o-ashti ho jaise bimari ka nam
hai siyasat ahd-e-nau mein ek ayyari ka nam
in ka zahir aur baatin dekh kar aisa laga
parsai jaise ho shayad riya-kari ka nam
jo zamana saz hain, hain sab ke manzur-e-nazar
hai taghazzul mein tarannum aaj fankari ka nam
gardish-e-haalat se hai band jin ka natiqa
wo zaban-e-haal se lete hain bekari ka nam
hai girani ka wo aalam al-aman o al-hafiz
Darte hain lete hue ab sab KHaridari ka nam
shoKHi-e-guftar mein kah jate hain wo kuchh se kuchh
dosti in ki nazar mein hai dil-azari ka nam
pur-masarrat zindagi hai aaj kal KHwab-o-KHayal
hai zaban par in dinon sab ki aza-dari ka nam
kya kushud-e-kar ki 'barqi' koi surat nahin
sab ke hai wird-e-zaban ab sirf dushwari ka nam
(1124) Peoples Rate This