Aawaz Ka Uski Zer-o-bam Kuchh Yaad Raha Kuchh Bhul Gae
aawaz ka us ki zer-o-bam kuchh yaad raha kuchh bhul gae
kitna dilkash tha mera sanam kuchh yaad raha kuchh bhul gae
kis darja hasin tha wo lamha jo qissa-e-parina hai ab
jab us ki nazar mein the bas hum kuchh yaad raha kuchh bhul gae
go aise lamhe kam aae lekin hain wo mera sarmaya
kab kab wo hua mail-ba-karam kuchh yaad raha kuchh bhul gae
wo ruThne aur manane ka ehsas abhi tak baqi hai
kya kya the us ke qaul-o-qasam kuchh yaad raha kuchh bhul gae
wo KHwab dikhata tha mujh ko main is pe bharosa karta tha
qaim na raha wadon ka bharam kuchh yaad raha kuchh bhul gae
aae ho abhi jate ho kahan is ka ye kahna abhi aaya
kar dena meri phir nak mein dam kuchh yaad raha kuchh bhul gae
ye bhuli-bisri yaaden hain sarmaya-e-zist mera 'barqi'
kis tarah karun mein is ko raqam kuchh yaad raha kuchh bhul gae
(2009) Peoples Rate This