Ghar Se Nikalna Jab Meri Taqdir Ho Gaya
ghar se nikalna jab meri taqdir ho gaya
ek shaKHs mere panw ki zanjir ho gaya
ek harf mere nam se diwar-e-shahr par
ye kya hua ki raat mein tahrir ho gaya
main us ko dekhta hi raha us mein Dub kar
wo tha ki mere samne taswir ho gaya
wo KHwab jis pe tira-shabi ka guman tha
wo KHwab aaftab ki tabir ho gaya
main to zaban pe laya nahin tera nam bhi
kyun ishq mera bais-e-tashhir ho gaya
'aghaz' us ne jo bhi kaha mere waste
wo kyun mere kalam ki tafsir ho gaya
(734) Peoples Rate This