Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_45a0b75179dae473e1362a950a57d2fe, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Agar Kuchh Etibar-e-jism-o-jaan Ho - Aghaz Barni Poetry In English - Darsaal

Agar Kuchh Etibar-e-jism-o-jaan Ho

agar kuchh e'tibar-e-jism-o-jaan ho

abhi kuchh aur mera imtihan ho

mujhe darpesh hai bas ek manzil

ki tujh se baat ho lekin kahan ho

jise mauj-e-bala chume musalsal

meri kashti ka aisa baadban ho

kahan tak surat-e-imkan nikalun

agar har bar mehnat raegan ho

mere KHwabon ki wo be-nam jannat

zamin-o-asman ke darmiyan ho

mere ehsas ke aatish-fishan ka

agar ho to mere dil tak dhuan ho

agar 'aghaz' hai chup-chap sahil

samundar ki tarah tum be-karan ho

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Kuchh Etibar-e-jism-o-jaan Ho In English By Famous Poet Aghaz Barni. Agar Kuchh Etibar-e-jism-o-jaan Ho is written by Aghaz Barni. Read famous Poem Agar Kuchh Etibar-e-jism-o-jaan Ho for youth and Student by Aghaz Barni. Free Download Agar Kuchh Etibar-e-jism-o-jaan Ho in PDF.