Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cf68ff69f8c79fb9abfccf03c93766d1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zarra Bhi Agar Rang-e-KHudai Nahin Deta - Agha Shayar Qazalbash Poetry In English - Darsaal

Zarra Bhi Agar Rang-e-KHudai Nahin Deta

zarra bhi agar rang-e-KHudai nahin deta

andha hai tujhe kuchh bhi dikhai nahin deta

dil ki buri aadat hai jo miTta hai buton par

wallah main un ko to burai nahin deta

kis tarah jawani mein chalun rah pe naseh

ye umr hi aisi hai sujhai nahin deta

girta hai usi waqt bashar munh ke bal aa kar

jab tere siwa koi dikhai nahin deta

sun kar meri fariyaad wo ye kahte hain 'shair'

is tarah to koi bhi duhai nahin deta

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zarra Bhi Agar Rang-e-KHudai Nahin Deta In English By Famous Poet Agha Shayar Qazalbash. Zarra Bhi Agar Rang-e-KHudai Nahin Deta is written by Agha Shayar Qazalbash. Read famous Poem Zarra Bhi Agar Rang-e-KHudai Nahin Deta for youth and Student by Agha Shayar Qazalbash. Free Download Zarra Bhi Agar Rang-e-KHudai Nahin Deta in PDF.