Na Nikla Munh Se Kuchh Nikli Na Kuchh Bhi Qalb-e-muztar Ki

na nikla munh se kuchh nikli na kuchh bhi qalb-e-muztar ki

kisi ke samne main ban gaya taswir patthar ki

KHuda se kyun na mangun wah main bandon se kya mangun

mujhe mil jaegi jo chiz hai mere muqaddar ki

tasawwur chahiye ai shaiKH sab ka ek ima hai

sada hai parda-e-naqus mein allahu-akbar ki

dil-e-rahat-talab ko qabr mein kya be-qarari hai

mujhe ghabrae deti hai udasi is nae ghar ki

kaleje mein hazaron dagh dil mein hasraten lakhon

kamai le chala hun sath apne zindagi bhar ki

sambhal kar dekhna aaraishon ke baad aaina

ye aaina nahin hai ab ye TukDe hai barabar ki

mere ashaar 'shair' dagh o aasif jah se puchho

ki shah o jauhri hi jaante hain qadr gauhar ki

(946) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Nikla Munh Se Kuchh Nikli Na Kuchh Bhi Qalb-e-muztar Ki In English By Famous Poet Agha Shayar Qazalbash. Na Nikla Munh Se Kuchh Nikli Na Kuchh Bhi Qalb-e-muztar Ki is written by Agha Shayar Qazalbash. Read famous Poem Na Nikla Munh Se Kuchh Nikli Na Kuchh Bhi Qalb-e-muztar Ki for youth and Student by Agha Shayar Qazalbash. Free Download Na Nikla Munh Se Kuchh Nikli Na Kuchh Bhi Qalb-e-muztar Ki in PDF.