Kya KHabar Thi Raaz-e-dil Apna Ayan Ho Jaega
kya KHabar thi raaz-e-dil apna ayan ho jaega
kya KHabar thi aah ka shola zaban ho jaega
hashr hone de sitamgar hum dikha denge tujhe
pyara pyara ye gareban ungliyan ho jaega
raat bhar ki hain bahaaren shama kya parwana kya
subh hote hote ruKHsat karwan ho jaega
hashr mein insaf hoga bas yahi sunte raho
kuchh yahan hota raha hai kuchh wahan ho jaega
is ko kahte hain jahan mein log sachchi ulfaten
tir jab dil se khichega to kaman ho jaega
aaDi sidhi paDti hain nazren tumhin par aaj to
majma-e-tar-e-nazar kya baddhiyan ho jaega
hai yahi rang-e-suKHan to 'shair' shirin-zaban
tu bhi ek din tuti-e-hindustan ho jaega
(869) Peoples Rate This