Dil Sard Ho Gaya Hai Tabiat Bujhi Hui

dil sard ho gaya hai tabiat bujhi hui

ab kya hai wo utar gai naddi chaDhi hui

tum jaan de ke lete ho ye bhi nai hui

lete nahin saKHi to koi chiz di hui

is TuTe phuTe dil ko na chheDo pare haTo

kya kar rahe ho aag hai is mein dabi hui

lo hum bataen ghuncha-o-gul mein hai farq kya

ek baat hai kahi hui ek be-kahi hui

KHun-rez jis qadar hain wo rahte hain sar-nigun

KHanjar hua kaTar hui ya chhuri hui

'shair' KHuda ke waste tauba ka kya qusur

hai kis ke munh se phir ye subuhi lagi hui

(815) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Sard Ho Gaya Hai Tabiat Bujhi Hui In English By Famous Poet Agha Shayar Qazalbash. Dil Sard Ho Gaya Hai Tabiat Bujhi Hui is written by Agha Shayar Qazalbash. Read famous Poem Dil Sard Ho Gaya Hai Tabiat Bujhi Hui for youth and Student by Agha Shayar Qazalbash. Free Download Dil Sard Ho Gaya Hai Tabiat Bujhi Hui in PDF.