Bahaar Aai Hai Phir Chaman Mein Nasim IThla Ke Chal Rahi Hai

bahaar aai hai phir chaman mein nasim iThla ke chal rahi hai

har ek ghuncha chaTak raha hai gulon ki rangat badal rahi hai

wo aa gae lo wo ji uTha main adu ki ummid-e-yas Thahri

ajab tamasha hai dil-lagi hai qaza khaDi hath mal rahi hai

batao dil dun na dun kaho to ajib nazuk moamla hai

idhar to dekho nazar milao ye kis ki shoKHi machal rahi hai

taDap raha hun yahan main tanha wahan adu se wo ham-baghal hain

kisi ke dam par bani hui hai kisi ki hasrat nikal rahi hai

ghaTa wo chhai wo abr uTTha yahi to hai waqt mai-kashi ka

bulao 'shair' ko hai kahan wo sharab shishe se Dhal rahi hai

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahaar Aai Hai Phir Chaman Mein Nasim IThla Ke Chal Rahi Hai In English By Famous Poet Agha Shayar Qazalbash. Bahaar Aai Hai Phir Chaman Mein Nasim IThla Ke Chal Rahi Hai is written by Agha Shayar Qazalbash. Read famous Poem Bahaar Aai Hai Phir Chaman Mein Nasim IThla Ke Chal Rahi Hai for youth and Student by Agha Shayar Qazalbash. Free Download Bahaar Aai Hai Phir Chaman Mein Nasim IThla Ke Chal Rahi Hai in PDF.