Gar Ek Shab Bhi Wasl Ki Lazzat Na Pae Dil

gar ek shab bhi wasl ki lazzat na pae dil

phir kis umid par koi tum se lagae dil

ek dil tujhe mudam satane ko chahiye

tere liye kahan se koi rose lae dil

utra na aa ke yan koi juz karwan-e-gham

mehman-sara se kam nahin yaro sara-e-dil

kuche se apne hum ko uThata hai kis liye

baiThen hain hum jahan se apna uThae dil

kahte hain dardmand 'taqi' ka ye haal dekh

ya rab kabhi kisi pe kisi ka na aae dil

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar Ek Shab Bhi Wasl Ki Lazzat Na Pae Dil In English By Famous Poet Agha Mohammad Taqi. Gar Ek Shab Bhi Wasl Ki Lazzat Na Pae Dil is written by Agha Mohammad Taqi. Read famous Poem Gar Ek Shab Bhi Wasl Ki Lazzat Na Pae Dil for youth and Student by Agha Mohammad Taqi. Free Download Gar Ek Shab Bhi Wasl Ki Lazzat Na Pae Dil in PDF.