UD Kar Suragh-e-kucha-e-dilbar Lagaiye

uD kar suragh-e-kucha-e-dilbar lagaiye

kis tarah donon bazuon mein par lagaiye

ek tir dil par ek jigar par lagaiye

hissa lagaiye to barabar lagaiye

phulon mein topiye mujhe nazuk-dimagh hun

lillah is lahad mein na patthar lagaiye

jab bazm-e-yar mein hai takalluf rasai ka

KHalwat-sara-e-KHas mein bistar lagaiye

har dam kiya kare rag-e-jaan marhaba ka shor

is nok-jhonk se koi nashtar lagaiye

barson se be-qarar hai taskin ke liye

jhukiye zara jigar se mere sar lagaiye

kya bastani qafas ki ye bulbul ko bhejiye

hisse mein us ke phulon ki chadar lagaiye

ja apne dil mein dijiye mujh saf-qalb ko

aaine mein shabih-e-sikandar lagaiye

yawar nasib ho to hasinon ko chahiye

dil un se aazma ke muqaddar lagaiye

aksar wo kahte hain ki jo bosa talab kare

is guftugu pe munh ise kyunkar lagaiye

aae dahan-e-zaKHm se aawaz aur aur

is is ada-o-naz se KHanjar lagaiye

purze mere uDaiye bheja hai main ne KHat

be-jurm kyun kabab-e-kabutar lagaiye

surat jo ek ek ki takta hai aaina

hasrat ye hai suragh-e-sikandar lagaiye

hain aap to tamam KHudai ke naKHuda

mera jahaz bhi lab-e-kausar lagaiye

barham-mizaj ho ke wo bargasht-agi kare

daftar mein jis ke fard-e-muqaddar lagaiye

daulat jo mujh gharib ki luTi hai aap ne

kya kijiyega hissa-e-lashkar lagaiye

jatanon ki jaanen lin hain unhen KHun-baha mile

pura hisab dekh ke daftar lagaiye

us gul ki aa hi jaegi KHushbu dimagh mein

chaliye riyaz-e-ishq mein chakkar lagaiye

ifsha kiya jo ishq to jhunjhla ke bole wo

likhwa ke ishtihaar ye ghar ghar lagaiye

sau ja se dil phaTa hai kaleja hai chaak chaak

paiwand phaD phaD ke chadar lagaiye

phir uTh ke tere hath se kaTwaiye gala

kyun-kar dobara jism mein phir sar lagaiye

sath is qadar hain us shah-e-KHuban ke sarfarosh

barson hisab kasrat-e-lashkar lagaiye

kahte hain laKHt-e-dil ko wo bazar-e-husn mein

sauda ye mere urdu se bahar lagaiye

mujh se lagawaT aap ki shamshir karti hai

marta hun us pe is ko mere sar lagaiye

sailab-e-ashk ne mere raste kiye hain band

kashti manga ke muttasil-e-dar lagaiye

KHilat shahid-e-naz ko bhijwate hain jawab

kashti mein pahle phulon ki chadar lagaiye

pahuncha ke KHat halal hua hai ye ai 'sharaf'

aankhon se le ke KHun-e-kabutar lagaiye

(958) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UD Kar Suragh-e-kucha-e-dilbar Lagaiye In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. UD Kar Suragh-e-kucha-e-dilbar Lagaiye is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem UD Kar Suragh-e-kucha-e-dilbar Lagaiye for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download UD Kar Suragh-e-kucha-e-dilbar Lagaiye in PDF.