Tir-e-nazar Se Chhid Ke Dil-afgar Hi Raha

tir-e-nazar se chhid ke dil-afgar hi raha

nasur us mein surat-e-sofar hi raha

duniya se hai nirali adalat hasinon ki

fariyaad jis ne ki wo gunahgar hi raha

saudaiyon ki bhiD koi dam na kam hui

har waqt ghar mein yar ke bazar hi raha

nargis jo us masih ki nazron se gir gai

achchhe na phir hue use aazar hi raha

gulzar mein hamesha kiye hum ne chahchahe

sayyaad o baghban ko sada KHar hi raha

aai na dekhne mein bhi taswir yar ki

aaina darmiyan mein diwar hi raha

surme se tur ke bhi na kuchh faeda hua

aankhon ko intizar ka aazar hi raha

majnun ne mera dagh-e-jigar sar pe rakh liya

ye gul wo hai jo turra-e-dastar hi raha

kuchh bhi na mufsidon ki darandaziyan chalin

ek uns mujh se un se jo tha pyar hi raha

bole wo meri qabr jharoke se jhank kar

ye shaKHs mar ke bhi pas-e-diwar hi raha

mumkin na phir hui qafas-e-gor se najat

jo is mein phans gaya wo giraftar hi raha

aalam mein husn-o-ishq ka afsana rah gaya

yusuf hi rah gae na KHaridar hi raha

sayyaad ko kabhi na musibat ne di najat

bulbul ke sabr mein ye giraftar hi raha

kya jaane us gharib ko kis ki nazar hui

un ankhDiyon ka shefta bimar hi raha

tu rah gaya faqat tere saudai rah gae

yusuf rahe na misr ka bazar hi raha

rahat kisi hasin se bhi pai na ai 'sharaf'

chaha jise wo dar-pae-azar hi raha

(934) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tir-e-nazar Se Chhid Ke Dil-afgar Hi Raha In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Tir-e-nazar Se Chhid Ke Dil-afgar Hi Raha is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Tir-e-nazar Se Chhid Ke Dil-afgar Hi Raha for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Tir-e-nazar Se Chhid Ke Dil-afgar Hi Raha in PDF.