Tirchhi Nazar Na Ho Taraf-e-dil To Kya Karun
tirchhi nazar na ho taraf-e-dil to kya karun
laila ke na-pasand ho mahmil to kya karun
Thahre na KHun-baha su-e-qatil to kya karun
haq ho jo KHud-baKHud mera baatil to kya karun
ek rang ko jahan mein nahin koi manta
har rang mein rahun na main shamil to ya karun
piswaun be-gunah jo dil ko hina ke sath
pursan-e-haal ho koi aadil to kya karun
parwana hone ki bhi ijazat nahin mujhe
aalam-fareb hai teri mahfil to kya karun
jata gulu-burida bhi uD kar gulon ke pas
bazu gaya hai toD ke bismil to kya karun
laila ye kah ke jalwa dikhati hai qais ko
uDne lage jo parda-e-mahmil to kya karun
KHud chahta hun zabt karun dard-e-shauq main
dil hi mera na ho mutahammil to kya karun
munh chum lun ki gird phirun dauD dauD ke
ai dil jo hath rok le qatil to kya karun
dam rah-e-shauq-o-zauq mein leta nahin kahin
is par bhi tai na ho jo ye manzil to kya karun
kyun-kar na jabr dil pe karun apne iKHtiyar
rahat mein aa paDe koi mushkil to kya karun
ek ek se puchhte hain wo aaina dekh kar
mashuq paun pyar ke qabil to kya karun
de dun main rah-e-ishq mein jaan us ke nam par
na-chaar hun na ho koi sail to kya karun
Tanke jigar ke zaKHm mein kyunkar lagane dun
gul tere bagh ka ho muqabil to kya karun
aane ko mana karte ho achchha na aaunga
ye to kaho na mane mera dil to kya karun
shayad mujhe jamal dikha de wo ai kalim
nazzare ka na hun mutahammil to kya karun
mar jaun Dub kar 'sharaf' us par yar hai
kashti na ho koi lab-e-sahil to kya karun
(917) Peoples Rate This