Teri Hawas Mein Jo Dil Se Puchha Nikal Ke Ghar Se Kidhar Ko Chaliye
teri hawas mein jo dil se puchha nikal ke ghar se kidhar ko chaliye
taDap ke bola jidhar wo nikle shitab usi rahguzar ko chaliye
na chahiye kuchh adam ko le kar nikaliye hasti se jaan de kar
safar jo lije rah-e-KHuda mein luTa ke zad-e-safar ko chaliye
azal se us ka hi aasra hai jo dene wala muradon ka hai
barae-fil-faur umid-e-dil ko jo chumne us ke dar ko chaliye
idhar to taqdir so rahi hai udhar wo nabud ho rahi hai
visal ki shab ko ro jo chukiye to rone sham-e-sahar ko chaliye
jo hath ek phul ko lagaen yaqin hai kanTon mein khinche jaen
hamare haq mein wo howe hanzal jo nosh karne samar ko chaliye
ajib mushkil hai aah ai dil kaThin hai bim-o-raja ki manzil
qadam qadam par ye sochte hain kidhar na chaliye kidhar ko chaliye
teri judai mein jaan-e-alam kiya hai donon ko gham ne be-dam
banaiye ja ke dil ki turbat ki dafn karne jigar ko chaliye
hua hai wo shauq-e-did-bazi ki samjhen is ko bhi sarfaraazi
bulaen aankhen wo phoDne ko to nazr karne nazar ko chaliye
visal ki shab guzar gai hai jo aarzu thi wo mar gai hai
hamein to hichki lagi hui hai wo fikr mein hain ki ghar ko chaliye
ye qaf se qaf tak hai shohrat karenge wo imtihan-e-wahshat
junun ka aalam ye kah raha hai yahin se Takraate sar ko chaliye
jo subh-e-piri hui huwaida sada adam se hui ye paida
namaz paDh ke na ab Thahariye sawere kasiye kamar ko chaliye
luTa hai gulshan mein aashiyana kahin hamara nahin Thikana
qafas se chhuT kar bhaDak rahe hain ki tinke chunane kidhar ko chaliye
kami na dard-e-jigar mein hogi ye hum se aisi ne guftugu ki
dawa ko phir DhunDiyega pahle talash karne asar ko chaliye
hamesha har sans ne hamari shab-e-judai mein aarzu ki
kisi tarah se tere chaman mein nasim ho kar sahar ko chaliye
charagh-e-bazm-e-KHuda hua hai KHuda ne mahbub use kaha hai
ye sham se lau lagi hai dil ko ki dekhne us bashar ko chaliye
hamara aansu wo be-baha hai nigah-e-hasrat mein jach raha hai
manga ke ab us pe chaurahe mein nisar karne guhar ko chaliye
su-e-falak kije ru-e-taban ki chaudhwin shab pe hai ye nazan
dikha ke husn-e-shabab apna chakor karne qamar ko chaliye
kisi tarah se na hone pae hamare nalon ka fash parda
agarche shor-e-fughan ka apne sharik karne gajar ko chaliye
'sharaf' jo hum un pe jaan denge KHabar hamari lahad mein lenge
hila ke shana jala ke hum ko kahenge uThiye bhi ghar ko chaliye
(1094) Peoples Rate This