Teri Gali Mein Jo Dhuni Ramae BaiThe Hain
teri gali mein jo dhuni ramae baiThe hain
ajal-rsida hain marne ko aae baiThe hain
karo hamari bhi KHatir nikal ke parde se
ki mehman hain tumhaare bulae baiThe hain
hamari baghlon mein bu-e-murad aati hai
tumhaare pahlu mein hum jab se aae baiThe hain
diya jo itr unhin aashiqon ko miTTi ka
kaha ki hum na malenge nahae baiThe hain
uTha ke bazm se KHalwat mein tum ko le jate
ye sochte hain ki apne parae baiThe hain
wo shab ko bazm mein hans hans ke puchhte the hamein
ye kaun hain ki jo aansu bahae baiThe hain
azal se hai ye do-alam mein raushni jis ki
usi charagh se hum lau lagae baiThe hain
bahaar o nikhat-e-gul hoti hain nisar un par
chaman mein rang wo apna jamae baiThe hain
yahan bhi chain se sone na paenge afsos
mazar mein bhi nakirain aae baiThe hain
uThaoge hamein ab kya tum apni mahfil se
hum aarzu-o-hawas ke biThae baiThe hain
bahaar mein nai sujhi hai un ko gustaKHi
urus-e-bagh ka ghungat uThae baiThe hain
farefta teri is tirchhi tirchhi chitwan ke
chhuri kalejon mein apne lagae baiThe hain
hamare dafn-o-kafan ki bas ab karo tadbir
KHabar bhi hai tumhein hum zahr khae baiThe hain
ye kuchh na samjhenge saudaiyon pe rahm karo
hawas-o-hosh junun mein uDae baiThe hain
farishte dekhiye karte hain hum se kya pursish
mare paDe the lahad mein jilae baiThe hain
faqir kyun ye hue hain 'sharaf' se puchho to
bhabhut mal ke jo dhuni ramae baiThe hain
(991) Peoples Rate This