Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam
tere waste jaan pe khelenge hum ye samai hai dil mein KHuda ki qasam
rah-e-ishq se ab na haTenge qadam hamein apne hi sidq-o-safa ki qasam
mere purze agarche uDaiyega to gul-e-zaKHm se mahkegi ishq ki bu
khinche tegh teri to ragaD dun gulu mujhe tere hi jaur-o-jafa ki qasam
mera nam jo yar hai puchh raha main bata dun tujhe jo laqab hai mera
mujhe kahte hain kushta-e-naz-o-ada tere ghamza-e-hosh-ruba ki qasam
lab-e-gor agarche judai mein hun magar aaina-e-dil ki safai mein hun
tera mahw KHuda ki KHudai mein hun mujhe apne hi ishq-o-wafa ki qasam
kiye tum ne jo zulm wo main ne sahe meri aankhon se barson hi ashk bahe
koi ghamza-o-ishwa ab uTh na rahe tumhein apne hi naz-o-ada ki qasam
shab-e-hijr mein aankh jo band hui teri zulf ki yaad do chand hui
meri sans ulajh ke kamand hui mujhe teri hi zulf-e-dota ki qasam
teri chaal se hashr bapa jo kiya tere KHauf se haal meri ye hua
hui jati thi ruh badan mein fana mujhe aamad-e-roz-e-jaza ki qasam
mere hathon mein KHun malo to zara tumhin dekho to rang dikhata hai kya
karo aaj numud-e-shahid-e-ada tumhein shoKHi-e-rang-e-hina ki qasam
kaha laila ne hai mujhe qais ka gham mere dil ko hai us ke junun ka alam
nahin chain judai mein ab koi dam use wahshi-e-be-sar-o-pa ki qasam
teri bazm ka misl hi yar nahin ki jinan mein ye naqsh-o-nigar nahin
kahin tere chaman se bahaar nahin mujhe bagh-e-iram ki faza ki qasam
gham-e-daulat-e-wasl mein ho ke hazin rah-e-ishq-o-wafa mein hain KHak-nashin
hawas ab hamein jah-o-hasham ki nahin hamein tere hi nashw-o-numa ki qasam
ye dua hai qafas mein bara-e-chaman ki gulon se KHuda na chhuDae chaman
mujhe rakhti hai zinda hawa-e-chaman gul-o-ghuncha-o-baad-e-saba ki qasam
tera shefta hun meri tujh mein hai jaan tah-e-tegh na kar mujhe jaan-e-jahan
mera ghusse mein aa ke miTa na nishan tujhe jah-o-jalal-e-KHuda ki qasam
ye hawas hai ki dard-e-jigar mein marun jo masih bhi aae to dam na bharun
kabhi tere siwa na ilaj karun mujhe tere hi dast-e-shifa ki qasam
sharaf us ne diye hamein saikDon dam rahe tinat saf se pak hi hum
kahi baat agar to sach hi kahi kabhi jhuT na bole KHuda ki qasam
(1148) Peoples Rate This