SannaTe Ka Aalam Qabr Mein Hai Hai KHwab-e-adam Aaram Nahin
sannaTe ka aalam qabr mein hai hai KHwab-e-adam aaram nahin
imkan-e-numud-e-subh nahin ummid-e-charagh-e-sham nahin
dil name ke shak le purze kiya ai wae nasibe ka ye likha
peshani par un ki mohr nahin sar-name pe mera nam nahin
jate hain jo ujDe zinda chaman is bagh-e-jahan ki wajh ye hai
gulzar ye jis gulfam ka hai us bagh mein wo gulfam nahin
bichh jaenge bulbul aa ke hazaron TuT paDenge jal ye hai
sayyaad gulabi pahne hai kapDe chadar-e-gul hai dam nahin
is najd mein KHauf ai laila na kar us gham-zada ki le ja ke KHabar
majnun se tera wahshi hai tera be-chaara koi zirgham nahin
aagah kiya hai dil ko hamare kis ne tumhaari KHubiyon se
insaf karo munsif ho tumhin phir kya hai jo ye ilham nahin
dil dete hi un ko ghulne lage nazron mein ajal ke tulne lage
aaghaz-e-mohabbat se ye khula chahat ka ba-KHair anjam nahin
aalam hai ajab giti-e-adam ka chaar taraf hai aalam-e-hu
aasaish-e-jaan-o-ruh nahin rahat ka koi hangam nahin
jaana hai adam ki rah hamein hona hai fana-fillah hamein
lete hain yahan dam chand nafas hasti se hamein kuchh kaam nahin
phir aankh kabhi khulne ki nahin nind aaegi ek din aisi hamein
hona hai yahi soche hain jo hum ye KHwab-o-KHayal-e-KHam nahin
chaurang nahin kyun khelte ab kis kushte pe rahm aaya hai tumhein
KHun-reziyon ka kyun shauq nahin kyun zeb-e-kamar samsam nahin
aqlim-e-KHamoshan se to sada ek gham-zada aati hai ye sada
hain saikDon shahanshah yahan par hukm nahin ahkaam nahin
duniya mein jo tha tabe tha jahan malum nahin pahuncha wo kahan
ibrat ka mahal kahte hain ise ab gor mein bhi bahram nahin
bulbul ki fughan par KHanda-zani ghunchon ne jo ki pazhmurda hue
sach hai ki hazin-o-gham-zada ho hansne ka ba-KHair anjam nahin
didar ke bhuke tere jo hain hai KHatm unhin par nafs-kushi
kuchh KHwahish-o-fikr-e-faut nahin duniya ke maze se kaam nahin
tum qabr mein kyun uTh baiThe 'sharaf' aaram karo aaram karo
yaran-e-watan rote hain tumhein kuchh hashr nahin kohram nahin
(1177) Peoples Rate This