Salaf Se Log Un Pe Mar Rahe Hain Hamesha Jaanen Liya Karenge
salaf se log un pe mar rahe hain hamesha jaanen liya karenge
yahi karishme hua kiye hain yahi karishme hua karenge
hamein jo be-jurm piste ho ye jaante ho ki kya karenge
KHuda ne chaha to surma ho kar tumhaari aankhon mein ja karenge
na rahne denge kabhi wo baham tapak dekhenge un mein jis dam
badan se KHarij karenge jaan ko jigar se dil ko juda karenge
chamak hai us mein mohabbatana ye be-qarari hai aashiqana
maza uThaenge dard-e-dil ka kabhi na is ki dawa karenge
baDha to hai rabt hum se tum se KHuda ne chaha to dekh loge
tumhaare pahlu mein yar dil ki tarah hamesha raha karenge
kisi ka ehsan hum na lenge kisi ko taklif kuchh na denge
KHuda ne paida kiya hai hum ko KHuda hi se iltija karenge
jab aaenge wo pae-ayaadat to hogi dil ko umid-e-sehhat
zamana mujh ko dua karega masih meri dawa karenge
nahin KHush-amal agar nahin hun farishte turbat mein KHashmagin hon
KHuda ki rahmat se mutmain hun ye kya karenge wo kya karenge
tamam hote hain dekh jaun jamal aa ke hamein dikhao
tumhaare gham mein labon pe dam hai koi ghaDi mein qaza karenge
rahegi yaad un ki KHush-KHirami mera suKHan hai ye la-kalami
qadam na parde se wo nikalen meri nazar mein phira karenge
rulae jati hai un ki hasrat chali hi aati hai mujh ko riqqat
rahengi kahe ko meri aankhen jo yunhi aansu baha karenge
mila hai aaram aashiyan ka nahin kuchh andesha baghban ka
riha bhi honge to aa ke akasr hum is qafas mein raha karenge
kahin Thikana nahin hamara tumhaari shafqat ka hai sahaara
gharib hain do hamein dilasa tumhaare haq mein dua karenge
laraz rahe hain satane wale KHuda ke aage kai hain nale
gurez un se karega mahshar ye wo qayamat bapa karenge
agar chhuTe bhi qafas se bulbul karegi barbaad hasrat-e-gul
rasai hogi na aashiyan tak chaman mein tinke chuna karenge
qubul hogi dua hamari karenge jis dam hum aah-o-zari
kabhi na jaegi upar upar hamari hajat rawa karenge
nigahen un par jo hum ne Dalin unhon ne aankhen 'sharaf' nikalin
sitam ye Dhaya hai kam-sini mein jawan ho ke wo kya karenge
(864) Peoples Rate This